[Lyrics for Hariharan – Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai]
Janmdaata hain jo, naam jinse mila
Thaamkar jinki ungli hai bachpan chala
Ho o o..
Kaandhe par baith ke, jinke dekha jahaan
Gyan jinse mila, kya bura, kya bhalaa
Itne upkaar hain kya kahen
Yeh batana na aasaan hai
Dharti pe roop maa-baap ka
Us vidhata ki pehchaan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Janam deti hai jo, maa jise jag kahe
Apni santaan mein, pran jiske rahe
Ho o o…
Loriyan hothon par, sapne boonti nazar
Neend jo vaar de, hanske har dukh sahe
Mamta ke roop mein hai prabhu
Aapse paya vardaan hai
Dharti pe roop maa-baap ka
Us vidhata ki pehchaan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Aapke khwaab hum, aaj hokar jawaan
Us param shakti se karte hain prarthna
Ho o o..
Inki chhaya rahe, rehti duniya talak
Ek pal reh sake hum na jinke bina
Aap dono salaamat rahe
Sabke dil mein yeh armaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai
Yeh to sach hai ke bhagwan hai Hai magar phir bhi anjaan hai
Dharti pe roop maa-baap ka
Us vidhata ki pehchaan hai