[Lyrics for Nazz – Maut Ka Kuan]
Woh bole paisa bolta hai toh ussi se main baat karun
Life is a beach aur main wave ki talash par hoon
Meri negative image ko main saaf karun
Mere zindagi ke photograph ka main khud photographer hoon
Rapper nahi main hoon archaeologist
Kyunki hamesha main khoda apne past karun
Meri baaton ne jhela hain mera bojh kaafi
Kyunki khada main hamesha apni baat par hoon
Rap mere liye bana rozi roti
Toh rapper dikhne ke liye na pehnu topi ulti
Zindagi mein khaaye maine thokar hain kaafi
Mujhe lagta mai pair ki hoon chhoti ungli
Log bane saanp yahan aastin ke
Zindagi picture toh flop meri casting thi
Par gaane deta hoon har baar hi ache main
Jaise koi film hoon main emraan hashmi ki
Chaal chalo mere khilaaf chaal chalo
Farak nahi padta chaahe khilaaf hazaar jan ho
Yeh launde kar sakte hain mera baal bhi baka
Par sirf aur sirf agar yeh barber ho
Main bhalayi ka sochta tha sabke
Par bas ab joh karna hain karo jao jaan bachao
Main aur meri achhai abb saath mein nahi rehte
Jaise happle ke phone aur charger ho
Saamne khauf haath mein note
Zindagi maut ka kuan hain
Aankhein khol aankhein khol
Neend bhi maut ki judwa hai
Saamne khauf haath mein note
Zindagi maut ka kuan hai
Aankhein khol aankhein khol
Neend bhi maut ki judwa hai
Hustle mein aaya joh main
Matlab jaise cake ke upar maine icing dala
Hateron ko nail cutter ki zaroorat nahi
Har baar movement laata main nail biting wala
Vibe lage studio mein fighting wala
Mic ke saamne har punch mera tyson wala
Haathon mein seedhi tarah deta nahi naseeb koi cheez
Mere naseeb ko bolo turkish ice cream wala
Buri cheezon ki lagi thi latt
Jua khela recover karne main loss ko
Barbaad hua paisa har baar
Jaise 6 saal gaya tha padhne moscow
Kya main bhi dhichik dhichik wale gaane banau
Joh bina matlab karte mili cross ho
Gaanon mein ladkiya chahiye charon aur joh
Toh mujhe pani puri wala koi stall do
Saamne khauf haath mein note
Zindagi maut ka kuan hai
Aankhein khol aankhein khol
Neend bhi maut ki judwa hai
Saamne khauf haath mein note
Zindagi maut ka kuan hai
Aankhein khol aankhein khol
Neend bhi maut ki judwa hai