Main yahan tu vahan, zindagi hai kahan – 2
Tu hi tu hai sanam dekhta hoon jahan
Neend aati nahin yaad jaati nahin – 2
Bin tere ab jiya jaaye na
Main yahan tu vahan, zindagi hai kahan
Waqt jaise theher gaya hai yahin
Har taraf ek ajab udaasi hai
Beqaraari ka aisa aalam hai
Jism tanha hai, rooh pyaasi hai
Teri soorat ab ek pal kyoon nazar se hat ti nahin
Raat din to kat jaate hain, umr tanha kat ti nahin
Chaahke bhi na kuch keh sakoon tujhse main – 2
Dard kaise karoon main bayaan
Main yahan tu vahan, zindagi hai kahan
Jab kahin bhi aahat hui, yun laga ke tu aa gaya
Khushboo ke jhonke ki tarha meri saansein maheka gaya
Ek voh daur tha hum sada paas the – 2
Ab to hain faasle darmiyaan
Main yahan tu vahan, zindagi hai kahan
Hm mm, hm mm, hm hm
Beeti baatein yaad aati hain jab akela hota hoon main
Bolti hain khaamoshiyaan sab se chhupke rota hoon main
Ek arsaa hua muskuraaye hue – 2
Aansuon mein dhali daastaan
Main yahan tu vahan, zindagi hai kahan
Tu hi tu hai sanam dekhta hoon jahan
Neend aati nahin yaad jaati nahin – 2
Bin tere ab jiya jaaye na