Tarsaati hai, tadpaati hai
Deewana sa kar jaati hai
Ho, yaadon se keh do
Yaad kyoon aati hai, yaad kyoon aati hai – 2
Tarsaati hai, tadpaati hai
Deewana sa kar jaati hai
Ho, yaadon se keh do
Yaad kyoon aati hai, yaad kyoon aati hai – 2
Beeta sukh bhi dukh lagta hai
Jab yaadein aati hai
Haan, beeta sukh bhi dukh lagta hai
Jab yaadein aati hai
Bhooli bisri apni saari
Baatein dohraati hai
Aaj bhi meri saanson ko
Teri zulfein mahekaati hai
Lehraati hai, behlaati hai
Deewana sa kar jaati hai
Ho, yaadon se keh do
Yaad kyoon aati hai, yaad kyoon aati hai – 2
Woh galiyan, woh ghar, woh manzar
Yaadon mein aate hain
Haan, woh galiyan, woh ghar, woh manzar
Yaadon mein aate hain
Yeh aansu, yeh dard-e-dil
Yaadon ki saugaatein hain
Door hai tu nazron se
Par mere saamne muskaati hai
Sharmaati hai, ghabraati hai
Deewana sa kar jaati hai
Haan, yaadon se keh do
Yaad kyoon aati hai, yaad kyoon aati hai
Yaad kyoon aati hai, yaad kyoon aati hai
Tarsaati hai, tadpaati hai
Deewana sa kar jaati hai
Ho, yaadon se keh do
Yaad kyoon aati hai
Yaad kyoon aati hai
Yaad kyoon aati hai
Yaad kyoon aati hai