O, aisa lagta hai,
jo naa hua hone ko hai
Aisa lagta hai,
ab dil mera khone ko hai
Varna dil kyoon dhadakta,
saansein kyoon rukti
Neendein meri kyoon ud jaati
Aisa lagta hai,
jo naa hua hone ko hai
O, aisa lagta hai,
ab dil mera khone ko hai
Varna dil kyoon dhadakta,
saansein kyoon rukti
Neendein meri kyoon ud jaati
O, aisa lagta hai,
jo naa hua hone ko hai
Koi chehraa nigaahon pe chhaane lagaa
Koi ab roz khwaabon mein aane lagaa
Aayi ruth jo nayi, jaage armaan kayi
Mausam koi ghazal jaise gaane lagaa
O, aisa lagta hai,
jaise nasha hone ko hai
Ho, aisa lagta hai,
hosh mera khone ko hai
Varna dil kyoon dhadakta,
saansein kyoon rukti
Neendein meri kyoon ud jaati
O, aisa lagta hai,
jo naa hua hone ko hai
Maheki maheki fiza ne li angdaaiyaan
Neeli neeli hain baadal ki parchhaaiyaan
Thandi thandi hawaa laayi raag naya
Goonji goonji si hain jaise shehnaaiyaan
O, aisa lagta hai,
koi mera hone ko hai
Aisa lagta hai,
har faslaa khone ko hai
Varna dil kyoon dhadakta,
saansein kyoon rukti
Neendein meri kyoon ud jaati
O, aisa lagta hai,
jo naa hua hone ko hai
Aisa lagta hai,
ab dil mera khone ko hai
Varna dil kyoon dhadakta
Saansein kyoon rukti
Neendein meri kyoon ud jaati