Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Main aaya aaya aaya aaya
Aaja
Yahan tera mera naam likha hai
Rasta nahin yeh aam likha hai
O, yeh hai darwaaza jahan tu khadi hai
Andar aa jaao, sardi badi hai
Yahan se nazaara dekho parbaton ka
Jhaankoon main kahan se, kahan hai jharoka
Yeh yahan hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Main aaya aaya aaya aaya
Aaja
Achha yeh bataao, kahan pe hai paani
Baahar beh raha hai jharna, deewani
Bijli nahin hai, yehi ek gham hai
Teri bindiya kya bijli se kam hai
Chhodo, mat chhedo, baazaar jaao
Jaata hoon jaaoonga, pehle yahan aao
Shaam jawaan hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Kaisi pyaari hai yeh chhoti si rasoi
O, hum dono hai bas duja nahin koi
Is kamre mein hongi meethi baatein
Us kamre mein guzrengi raatein
Yeh to bolo hogi kahan pe ladaai
Maine voh jaga hi nahin banaayi
Pyaar yahan hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai
Tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shaher mein hai ghar apna
Kya sama hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja
Main aayi aayi aayi aayi
Aaja