Dil hi dil mein humko maare dil dukhaana aap ka
Maan jaao hum to haare, haaye gussa aap ka
Ho gayi jo khata na sata bhool bhi jaa
Hm, aap jaante hai humko hum na keh paayenge
Muskuraake humko dekho, hum bhi muskuraayenge
Main nahin bewafa na khafa bhool bhi jaa
Jab tu mujhse rootha tha to
Mujhse rooth baithi khushiyaan
De raha tha taane mausam
Hans rahi thi mujhpe duniya
Baarishon mein bheega aanchal
Dil na jaane kyoon sokha tha
Kaat ta tha lamha lamha
Waqt to har pal ruka tha
Jab tu mujhse rootha tha to
Mujhse rooth baithi khushiyaan
Jab tu mujhse rootha tha to
Mujhse roothi thi khushiyaan
Hona tha jo hua ho gaya bhool bhi jaa
Ho, dil hi dil mein humko maare dil dukhaana aap ka
Maan jaao hum to haare, haaye gussa aap ka
Aaj kyoon lage duniya ki
Pehli subah phir se hogi
Bas hamaara apna suraj
Anchhui si dhoop khilegi
Raat ko jo chaand uthega
Chaandni lori gaayegi
Meri baahon mein sar rakhke
Jaan meri so jaayegi
Aaj kyoon lage duniya ki
Pehli subah phir se hogi
Aaj kyoon lage duniya ki
Pehli subah phir hogi
Bhool jaaye hamein yeh jahan bhool bhi jaa
Dil hi dil mein humko maare dil dukhaana aap ka
Maan jaao hum to haare, haaye gussa aap ka
Ho gayi jo khata na sata bhool bhi jaa
Aap jaante hai humko hum na keh paayenge
Muskuraake humko dekho hum bhi muskuraayenge
Main nahin bewafa na khafa bhool bhi jaa
Hm, bhool jaa
Bhool jaa
Haan, bhool jaa
Bhool bhi jaa