[Lyrics for A Flying Jatt – Toota Jo Kabhi Tara]
Kisi shaam ki tarah
Tera rang hai khila
Main raat ik tanha
Tu chand sa mila
Haan tujhe dekhta raha
Kisi khaab ki tarah
Jo ab saamne hai tu
Ho kaise yaqeen bhala
Toota jo kabhi taara, sajna ve!
Tujhe Rabb se maanga
Rabb se jo maanga mileya ve
Tu mileya to jaane na dunga main
Haan maine suni hai
Pariyon ki kahani
Waisa hi noor tera
Chehra hai tera ruhani
Aa tujhko main apni
(aaja meri) Baahon mein chupa loon
Haan apni iss zameen ko
Kar doon main aasmaan bhi
Zindagi rok doon main ab tere saamne
Pal do pal jo ruke tu mere sath mein
Toota jo kabhi tara sajna ve
Tujhe Rabb se maanga
Rabb se jo maanga mileya ve
Tu mileya to jaane na dunga main
Itni bhi haseen main nahi, o yaara ve!
Mujhse bhi haseen toh tera ye pyar hai
Haan itni bhi haseen main nahi
O yaara ve!
Mujhse bhi haseen tera pyar
Ke tera mera pyar ye
Jaise khwab aur duaa
Haan sach kar raha inhe
Dekho mera Khuda
Toota jo kabhi taara sajna ve
Tujhe Rabb se maanga
Rabb se jo maanga, mileya ve
Tu mileya to jaane na dungi main