Hm hm, hm hm hm hm hm, hm hm hm hm
Dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur yeh tanhaaiyaan hain
Dekho na, zara dekho na
Kaisi naram si yeh parchhaaiyaan hain
Suno zara, suno zara dhadkanon ki sada
Suno zara, suno zara geet khaamoshi ka
Suno zara, kehti hai raat kya
Raat hai leke aayi kitne armaan anjaane
Kehti hai sau afsaane, sunta hoon main
Raat ne li angdaayi, anhoni baat hai hoti
Bikhre hai jaise moti, chunta hoon main
Tumne yeh kya keh diya
Meri aankhon mein diye hain jaise jal gaye
Tumne yeh kya keh diya
Meri raaton ke andhere jaise dhal gaye
Tumse hi to milke maine jaana hai
Sapne kya hote hain, oh
Tumse hi to milke maine jaana hai
Dil kaise khote hain, oh
Chaandni se bhi pyaari mujhko
In palkon ki chhaaon
Tumne basaaya mere dil mein
Ek sapnon ka gaaon
Tumne mujhko chaaha to mausam rang chhalkaata hai
Har panchhi ab gaata hai mere liye
Tumne mujhko chaaha to jeevan ki saari raahein
Khole hain apni baahein mere liye
Dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur yeh tanhaaiyaan hain
Dekho na, zara dekho na
Kaisi naram si yeh parchhaaiyaan hain
Mm, tum bin din soone the raatein sooni thi
Veeraani thi chhaayi, oh
Ab jaise din chamke raatein maheki hai
Tum ho jo hamraahi, oh
Tum bin jaise main thi adhoori
Poori ho gayi hoon main
Tumko paake jag paaya hai
Par khud kho gayi hoon main
Hum donon ne ab jaana, jeene ka matlab kya hai
Pehle kya thi ab kya hai yeh zindagi
Hum donon ne ab jaana, duniya kitni pyaari hai
Paayi kitni saari haim humne khushi
Dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur yeh tanhaaiyaan hain
Dekho na, zara dekho na
Kaisi naram si yeh parchhaaiyaan hain
Suno zara, suno zara dhadkanon ki sada
Suno zara, suno zara geet khaamoshi ka
Suno zara, kehti hai raat kya