Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » A.R. Rahman, Alka Yagnik, Udit Narayan, Zubeidaa – Hai Naa Lyrics

A.R. Rahman, Alka Yagnik, Udit Narayan, Zubeidaa – Hai Naa Lyrics

  • by
Read Time:1 Minute, 36 Second

Maheki maheki hai raahen
Baheki baheki hai nigaahen, hai naa
Hai re, hai re, hai re, hai re
Ghere hain jo yeh baahen
Paayi hai maine panaahen, hai naa
Hai re, hai re, hai re, hai re

Gaa, tu dil ke taaron pe gaa
Geet aisa koi naya
Jo zindagi mein kabhi ho na pehle sunaa

Palkon pe sapne sajaa
Sapnon mein jadoo jagaa
Tu meri raahon mein chaahat ki shamme jalaa

Maheki maheki hai raahen
Baheki baheki hai nigaahen, hai naa

Hai re, hai re, hai re, hai re

Mere dil ne tohfe yeh tumse paaye
Dhoop ke gham ke tum laaye saaye
Mere dil ne tohfe yeh tumse paaye
Dhoop ke gham ke tum laaye saaye

Meri ab jo bhi khushi hai
Mujhe tumse hi mili hai, suno naa
Tumhi voh chaandni ho jo
Meri nazron mein khili hai

Kahin yeh to nahin hai voh aankhen haseen
Dekhti hai jo mujhko piya
Jo bhi hoon, teri hoon, bas yahi gun hai mera
Jo bhi hoon, teri hoon, bas yahi gun hai mera

Gaa, tu dil ke taaron pe gaa
Geet aisa koi naya
Jo zindagi mein kabhi ho naa pehle sunaa

Palkon pe sapne sajaa
Sapnon mein jadoo jagaa
Tu meri raahon mein chaahat ki shamme jalaa

Dil ki yeh zid hai, dil ka hai kehna
Saath tumhaare isko hai rehna
Ho, dil ki ye zid hai, dil ka hai kehna
Saath tumhaare isko hai rehna

Chalo kahin door hi jaaye
Nayi ek duniya basaaye, suno naa
Vahan bas main aur tum ho
Mohabbat mein hum gum ho

Ab ho uljhan koi, ab ho bandhan koi
Ho nahin sakte hum ab judaa
Yeh tera, yeh mera aakhri hai faislaa
Yeh tera, yeh mera aakhri hai faislaa

Hmm, hmm hmm hmm hmm hmm hmm
Hmm, hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm
Hai re hai re hai re hai re hai
Hai re hai re hai re hai re hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *