Yeh haseen vaadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ae mere saajnaa
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Tere honthon pe hai husn ki bijliyaan
Tere gaalon pe hai zulf ki badaliyaan
Tere daaman ki khushboo se maheke chaman
Sange marmar ke jaisa yeh tera badan
Mere jaane jaan, main teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Yeh haseen vaadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ae mere saajnaa
Yeh bandhan hai pyaar ka, dekho toote naa sajni
Yeh janmon ka saath hai, dekho chhoote naa sajnaa
Tere aanchal ki chhaaon ke tale meri manzil mujhe milgayi
Tere palkon ki chhaaon ke tale mohabbat mujhe milgayi
Yeh haseen vaadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ae mere saajnaa
Yeh bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Yeh haseen vaadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ae mere saajnaa
Jee karta hai saajnaa, dil mein tumko bithaa loon
Aa masti ki raat mein apna tumko banaa loon
Uthne lage hai toofaan kyoon mere seene mein ae sanam
Tumhe chaahoonga dilon-jaan se meri jaane jaan teri kasam
Yeh haseen vaadiyan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ae mere jaane jaan
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Mere jaane jaan, main teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Yeh haseen vaadiyan
Yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan
Ae mere saajnaa
Yeh haseen vaadiyan
Yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan
Ae mere saajnaa