Gup chup baatein karne laga tere badan se mera badan
Jeene laga main marne laga, chhoo liya maine tera badan
Pyaar ki aag mein jalne laga, kya tera kya mera badan
Chaand bhi chhup gaya baadal mein, hogaya aur andhera badan
Aa main chhod ke yeh duniya, tere dil mein samaa jaaoon
Door chala jaaoon sabse, tere paas main aa jaaoon
Tukur tukur yun mat dekho, main tumse sharma jaaoon
Apne dil ki dhadkan se tera dil dhadka jaaoon
Oh, khud ko roka bahut magar kaam naa aaya koi jatan
Aaj hamein kuch kehna nahin, haan aaj hamein kuch karna hai
Chutki bhar sindoor teri maang mein aaj hi bharna hai
Maang se hamein jo nahin mile, bas vahi cheez churaali hai
Pyaase mausam se kehdo, humne pyaas bujhaayi hai
Raat milan ki aayi to ban gaya shyaam savera badan
Bharkar apni baahon mein, bhar liya maine tera badan
Aaj hamaare honthon par dil ki kahaani aayi hai
Humko koi hosh nahin, ruth mastaani aayi hai
Sej saji hai sapnon ki, raat suhaani aayi hai
Ab chhaaye na chhaaye ghata, barse na barse saawan
Dil mein bahut andhera tha, humne bas aag laga di hai
Ek duje ki baahon mein chhod chala humko bachpan
Gup chup baatein karne laga tere badan se mera badan
Jeene laga main marne laga, chhoo liya maine tera badan
Raat milan ki aayi to ban gaya shyaam savera badan
Bharkar apni baahon mein, bhar liya maine tera badan
Aaj agar hum door rahe, phir nahin hoga apna milan
Gup chup baatein karne laga tere badan se mera badan
Jeene laga main marne laga, chhoo liya maine tera badan