(Kismat se tum humko mile ho
Kaise chhodenge, yeh haath hum na chhodenge) – 2
Phir se banti taqdeeron ko
Armaanon ki zanjeeron ko
Jaanam ab na todenge
Kismat se tum humko mile ho
Kaise chhodenge, yeh haath hum na chhodenge
Phir se banti taqdeeron ko
Armaanon ki zanjeeron ko
Jaanam ab na todenge
Kismat se tum humko mile ho
Kaise chhodenge, yeh haath hum na chhodenge
Kya kahoon kaise lagte hai dil pe zulfon ke saaye
Koi bhoola raahi jaise manzil paa jaaye
Ya koi dil toofaan ka maara
Dard ki laheron mein aawaara
Koi pyaara pyaar ke saaye paa jaaye
Kismat se tum humko mile ho
Kaise chhodenge, yeh haath hum na chhodenge
Tukde dil ke hum tum milke
Phir se jodenge, yeh sheesha phir se jodenge
Phir se banti taqdeeron ko
Armaanon ki zanjeeron ko
Jaanam ab na todenge
Yun sharmaati yun ghabraati aise simti simtaayi
O mere baalam yunhi nahin main jaate jaate laut aayi hoon
Preet meri pehchaani tune
Meri kadr to jaani tune
Ab dil jaaga hosh mein chaahat ab aayi