Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » A.R. Rahman, Murtuza Qadir, Sadhana Sargam, Saathiya – Chupke Se Lyrics

A.R. Rahman, Murtuza Qadir, Sadhana Sargam, Saathiya – Chupke Se Lyrics

  • by
Read Time:1 Minute, 33 Second

Doston se jhoothi moothi dusron ka naam leke
Phir meri baatein karna, yaara raat se din karna
Lambi judaai teri bada mushkil hai
Aahon se dil bharna, yaara raat se din karna
Kab yeh poori hogi door yeh doori hogi – 2
Roz safar karna, yaara raat se din karna

Chupke se, chupke se raat ki chaadar tale
Chaand ki bhi aahat na ho, baadal ke peechhe chale
Jale katra katra, gale katra katra
Raat bhi na hile aadhi aadhi yeh – 2
Chupke se lag jaa gale raat ki chaadar tale
Farvari ki sardiyon ki dhoop mein
Moondi moondi ankhiyon se dekhna
Haath ki aad se
Neemi neemi thand aur aag mein
Haule haule maarwa ke raag mein
Meer ki baat ho
Din bhi na doobe, raat na aaye
Shaam kabhi na dhale
Shaam dhale to subh na aaye
Raat hi raat chale
Chupke se, chupke se raat ki chaadar tale
Chaand ki bhi aahat na ho, baadal ke peechhe chale

Doston se jhoothi moothi dusron ka naam leke
Phir meri baatein karna, yaara raat se din karna
Lambi judaai teri bada mushkil hai
Aahon se dil bharna, yaara raat se din karna
Kab yeh poori hogi door yeh doori hogi – 2
Roz safar karna, yaara raat se din karna

Tujh bina pagli yeh purvai – 2
Aake meri chunri mein bhar gayi
Tu kabhi aise hi gale lag jaise yeh purvai
Aa gale lag jaise yeh purvai
Saathiya sun tu
Kal jo mujhko neend na aayi
Paas bulaaye na
God mein apni sar rakh le na
Lori suna de na
Chupke se lag jaa gale raat ki chaadar tale
Chaand ki bhi aahat na ho, baadal ke peechhe chale
Jale katra katra, gale katra katra
Raat bhi na hile aadhi aadhi yeh – 2
Chupke se lag jaa gale raat ki chaadar tale
Chaand ki bhi aahat na ho, baadal ke peechhe chale

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *