[Lyrics for Agneepath – O Saiyyan]
Meri adhoori kahaani
Lo daastaan bann gayi
Ho Tune chhuaa aaj aise
Main kya se kya ban gaya
Sehme huey sapne mere haule-haule angdaiyaan le rahe
Thehre huey lamhe mere nayi-nayi gehraiyaan le rahe
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hai armaan phir bhi hai
Aankh num kyun naa jaane O Saiyyan
Odhu teri kaaya
Solah sigaar main saja loon
Sangam ki ye raina isme tyonhar main mana loom
Khushboo teri choo ke kastoori main ho jaaun
Kitni pheeki thi main sindoori main ho jaaun
Sur se zara behki huyi meri duniya thi badi be-suri
Sur mein tere dhalne lagi
Bani re piya main bani baansuri
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hai armaan phir bhi hai
Aankh num kyun naa jaane O Saiyyan
Mere aasmaan se jo hamesha gumshuda thay
Chaand taare tune garrdishon ki lay badal di
Laut aaye aaj saare
O Saiyyan