Chehra tumhaara hai kitna pyaara
Dekhe bina mera ho na guzaara
Rab ne tumhe bhi kya khoob banaaya
Meri nazar se khud ko dekho to yaara
Dil deewaana, deewaana dil
Dil deewaana beqaraar hone laga hai – 2
Halka halka sa khumaar hone laga hai
Kehte hai mere yaar
Mujhe pyaar hone laga hai – 4
Dil deewaana beqaraar hone laga hai
Halka halka sa khumaar hone laga hai
Tu bhi yeh sun le yaar
Mujhe pyaar hone laga hai – 4
Jab se kiya hai dilbar maine deedaar tera
Pal pal mujhe rehta hai bas intezaar tera
Nazron ne meri jab se tera khwaab yaar dekha
Na dekhkar bhi tujhko sau baar yaar dekha
Koi jaadu
Koi jaadu baar baar hone laga hai
Dil deewaana beqaraar hone laga hai
Tu bhi yeh sun le yaar
Pyaar hone laga hai, mujhe pyaar hone laga hai
Pyaar hone laga hai, mujhe pyaar hone laga hai
Yeh keh rahi hai humse deewaangi hamaari
Kahin humko le doobe na yeh aashiqui tumhaari
Yeh ishq hi maseeha, yeh ishq hi khuda hai
Milkar judaa na ho hum, lab par yehi dua hai
Mujhko tera, sach
Mujhko tera aitbaar hone laga hai
Dil deewaana beqaraar hone laga hai
Kehte hai mere yaar
Mujhe pyaar hone laga hai, pyaar hone laga hai
Pyaar hone laga hai, mujhe pyaar hone laga hai
O dil deewaana beqaraar hone laga hai
Halka halka sa khumaar hone laga hai
Tu bhi yeh sun le yaar
Mujhe pyaar hone laga hai
Pyaar hone laga hai