(Sach much main to deewana ho gaya
Jaane kahan yeh dil kho gaya) – 2
Aankhon aankhon ek hi chehraa
Dhadkan dhadkan ek hi naam
Tere siva ab is duniya mein aur nahin koi mujhko kaam
(Sach much main to deewani ho gayi
Apni shuru kahaani ho gayi) – 2
Hai hai hai, aankhon aankhon ek hi chehraa
Dhadkan dhadkan ek hi naam
Tere siva ab is duniya mein aur nahin koi mujhko kaam
Sach much main to deewana ho gaya
Aur kisi pe nazar na thehri
Dekha hai tujhko jab se
Haan teri mohabbat mil gayi mujhko
Aur main kya mangoon rab se
Ho, bhool gaye hum dono jahan ko
Ishq mein aise choor hue
Kho gaye hum to ab yaadon mein
Is duniya se door hue
Sach much main to deewana ho gaya
Jaane kahan yeh dil kho gaya
Hai hai hai, aankhon aankhon ek hi chehraa
Dhadkan dhadkan ek hi naam
Tere siva ab is duniya mein aur nahin koi mujhko kaam
Sach much main to deewana ho gaya
Is dharti se, us ambar tak
Chehraa tera leheraaye
Shonkh bahaaron ka yeh mausam
Teri hi khushboo laaye
Hey, dil paagal hai, baat na maane
Kaise isko samjhaaoon
Kaisa mera haal hai yaara
Kaise tujhko batlaaoon
Sach much main to deewani ho gayi
Apni shuru kahaani ho gayi