O re kaanchi
O re kaanchi, kaanch ki gudiya
Honton mein baandhe prem ki pudiya, haan
(Na usse khole, na munh se bole
Palkon pe rakhke aankhon se tole) – 2
Suniyo suniyo
Suniyo suniyo misri se meethi
Aankhon mein band hain baatein raseeli, haan
(Na unhe khole, na munh se bole
Palkon pe rakhke aankhon se tole) – 2
Pahadi paar chalna hai to parbat hata doon
Ghataaon mein kahin chhupna hai to saawan bula doon
Mahuwa mahuwa maheka maheka
Maheka maheka mahuwa mahuwa
Pahadi paar chalna hai to parbat hata doon
Ghataaon mein kahin chhupna hai to saawan bula doon
Koi udta hua panchhi bata dega thikaana
Jahan se din nikalta hai ussi tille pe aana
Mahuwa mahuwa maheka maheka
Maheka maheka mahuwa mahuwa
O re kaanchi, kaanch ki gudiya
Honton mein baandhe prem ki pudiya, haan
Na usse khole, na munh se bole
Palkon pe rakhke aankhon se tole
Suniyo suniyo misri se meethi
Aankhon mein band hain baatein raseeli, haan
Na unhe khole, na munh se bole
Palkon pe rakhke aankhon se tole
O re kaanchi
Tera koi parichhay ho to ae sundri bata de
Badi meethi teri muskaan hai mundri bana de
Mahuwa mahuwa maheka maheka
Maheka maheka mahuwa mahuwa
Tera koi parichhay ho to ae sundri bata de
Badi meethi teri muskaan hai mundri bana de
Hai pardesi mujhe bhool jaayega kahin pe
De vachan main pehn loon usse gehna samajhke