[Lyrics for Anuv Jain – Jo Tum Mere Ho]
Hairan hun ki kuch bhi naa maangoon kabhi main
Jo tum mere ho
Aisa ho kyun ki lagta hai haasil sabhi hai
Jo tum mere ho
Jo tum mere ho
Toh main kuch nahi maangoon duniya se
Aur tum ho hi nahi
Toh main jeena nahi chahoon duniya mei
Aur nazron mei mere
Ek jahan hai, jahan tu aur main ab saath hain
Aur wahan koi nahi
Tu aur main hi, haaye
Aur aaoge, kaise aaoge
Teri-meri kya yeh raahein yun judi hain?
Aur raahon mei bhi jo tum aaye kabhi
Hum toh pyaar se hi mar jaayenge
Aur aaoge, aise aaoge
Teri-meri kya yeh raahein yun judi hain?
Aur raahon mei hi jo tum aaye nahi
Hum toh phir bhi tumhe hi chahenge
Jo tum mere ho
Toh main kuch nahi maangoon duniya se
Puchhe tu
Ki tujhmei main kya dekhta hoon
Jab chaaron taraf aaj kitne hi saare nazaarein hain?
Jaane naa tu
Khud ko yun, naa jaane kyun?
Nazron se mere yahan dekho naa khud ko zara
Dekho naa, dekho naa
Zulfon se, kaise zulfon se
Teri chhupti pyaari-pyaari si muskaan hai
Aur nazrein jhuki aur nazrein uthi
Toh main kya hi karoon? Barbaad main
Tere honthon ko, tere honthon ko
Jinse rakhti mere pyaare-pyaare naam hain
Aur dil ka tere, aur dil ka tere
Ab main kya hi kahoo, kya baat hai!
Aur haan, dekho yahaan
Kaise aayi do dilon ki yeh baarat hai
Par kya khula aasmaan
Ya phir layi yahan zoron se barsaat hai?
Chahe ho chhaye bhi baadal toh
Chahein phir bhi tumhe, kya pata tumko?
Maangoon naa kuch aur jo
Tum mere ho