[Lyrics for Arijit Singh – Bekhayali (From “Kabir Singh”)]
Bekhayali mein bhi tera
Hi khayal aaye
Kyun bichadna hai zaroori
Ye sawaal aaye
Teri nazdeekiyon
Ki khushi behisaab thi
Hisse mein faansle
Bhi tere bemisaal aaye
Main jo tujhse door hu
Kyun door main rahun
Tera guroor hu uun
Aa tu faansla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod du
Bekhayali mein bhi tera
Hi khayal aaye
Kyun bichadna hai zaroori
Ye sawaal aaye
Thoda sa main khafa
Ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi
Bewajah hi malaal aaye
Hai ye tadpan hai ye uljhan
Kaise jee lu bina tere
Meri ab sabse hai ann-ban
Bante kyun ye khuda mere o oo
Hmmm hmmm…
Ye jo log-baag hai
Jungle ki aag hai
Kyun aag mein jalu
Ye nakaam pyar mein
Khush hai ye haar mein
In jaisa kyun banu
Raatein dengi bata
Neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu toh khayalon mein sath hai
Bekhayali mein bhi tera
Hi khayal aaye
Kyun bichadna hai zaroori
Ye sawaal aaye
Nazaron ke aage har ek manzar
Ret ki tarha bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere
Zehar ki tarha utar raha hai
Nazaron ke aage har ek manzar
Ret ki tarha bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere
Zehar ki tarha utar raha hai
Aa zamane aazma le ruthta nahi
Faanslon se haunsla ye tutt’ta nahi
Na hai wo bewafa aur na main hu bewafa
Wo meri aadaton ki tarah chhutata nahi