Humne tumse, tumne hamaara rishta joda gham se
Ek vafa ke siva kaunsi khata hui thi humse
Kabhi bandhan juda liya, kabhi daaman chhuda liya
Kabhi bandhan juda liya, kabhi daaman chhuda liya – 2
O saathi re
Kaisa sila diya yeh vafa ka kaisa sila diya – 2
Tere vaade, voh iraade – 2
O saathi re
Sab kuch bhoola diya yeh vafa ka kaisa sila diya – 2
Baat kuch samajh na aayi, kami kya hum mein paayi
Ek tarfa yeh mohabbat humi ne sirf nibhaayi
Jaam chaahat ka dekar zaher nafrat ka pila diya – 2
Zaher nafrat ka pila diya
Tere vaade, voh iraade – 2
O saathi re
Sab kuch bhoola diya yeh vafa ka kaisa sila diya – 2
Umr bhar so na sakenge, kisi ke ho na sakenge
Ajnabi tum ho jaao, gair hum ho na sakenge
Kisi begaane ki khaatir tumne apnon ko bhoola diya – 2
Tumne apnon ko bhoola diya, haan apnon ko bhoola diya
Tere vaade, voh iraade – 2
O saathi re
Sab kuch bhoola diya yeh vafa ka kaisa sila diya – 2
Ab mujhe jeena nahin sanam, yeh zaher peena nahin sanam – 2
Janam janmon ka naata chand lamhon mein mita diya – 2
Chand lamhon mein mita diya
Tere vaade, voh iraade – 2
O saathi re
Sab kuch bhoola diya yeh vafa ka kaisa sila diya – 2
Kabhi bandhan juda liya, kabhi daaman chhuda liya – 2
O saathi re
Kaisa sila diya yeh vafa ka kaisa sila diya – 2
Kaisa sila diya yeh vafa ka kaisa sila diya
O mitwa re, o mitwa re, o mitwa re, o mitwa re
(Kaisa sila diya yeh vafa ka kaisa sila diya – 3)