(Saiyyaan re saiyyaan, o more saiyyaan
Aake gale lag jaa) – 3
Gale mein laal taai, ghar mein ek chaar paai
Takiya ek aur hum do ek hi hai razaai
Sardi kaise jaayegi, kaho kaise hamein neend aayegi – 2
Gale mein laal taai, ghar mein ek chaar paai
Takiye ki fikar na kar, banoonga main khud razaai
Gale se laga loonga, honton se coffee pila doonga
Arre gale se laga loonga, honton se coffee pila doonga
Saari duniya chain se soye, hum dono baaton mein khoye
Tumse main darrti hoon, koi harkat na karo
Ek hai shart meri, tum sharaarat na karo
Haai yeh pasina kyoon aa gaya hai hamdam
Na to kuch socho tum, na to kuch soche hum
Lage chaar paai mein kahin ek khatmal hai
Tang mujhe karta hai tan mein halbal hai
Dushman khatmal ko tujhse mohabbat hai
Jahan chaahe ghoomega, haai kya kismat hai
Abhi usse dhoondkar main tagdi saza doonga – 2
Gale mein laal taai, ghar mein ek chaar paai
Takiya ek aur hum do ek hi hai razaai
Sardi kaise jaayegi, kaho kaise hamein neend aayegi
Arre gale se laga loonga, honton se coffee pila doonga haan
Khidki ke main parde gira doon
Tum keh do to batti bujha doon
Arre baba na re na, batti na bujha dena
Waqt ka pata nahin, kuch na ho jaaye kahin
Gaata hoon sar ki kasam, zyaada na chhedoonga
Is sharaafat ke liye ek chooma loonga
Haai kismat phooti, kisko yaar kiya
Aise besabre se maine kyoon pyaar kiya
Ab to majboori hai, yeh ghadi aayi hai
Saath sona hi pade, ek chaar paai hai
Tere bharose ko kabhi na daga doonga, samjhi
Tere bharose ko kabhi na daga doonga
Gale mein laal taai, ghar mein ek chaar paai
Takiya ek aur hum do ek hi hai razaai
Sardi kaise jaayegi, kaho kaise hamein neend aayegi
Haan gale se laga loonga, honton se coffee pila doonga haan