[Lyrics for Epr – Badluram]
Joh ki aaj bhi sipaahiyon ki beech
Yeh sangeet amar indian army,
Regiment of assam ki marching
Pe bhare josh
Sainikon pe dekho bemisaal chhaapchhod
Dilchasp katha ek shaqs jawaan
Bharatiya seema aur mitti ki raksha
Nakshe pe dushman ka aagragraman
Akraman vilamb kis baat ki ab
Daaga nishana bandook-e-farz
Kartavya nibhana
Veergati seene se apne
Maut ko bhi haskar apnana
Praan gavaaya shaan se
Bharat mata ki maan pe aach na aane di
Kahi yeh sanyog ya galti se
Quarter master ke list men naam nahi
Ration jo mili marne par bhi
Supply line cut sankat men sabhi
Nirnaayak saabit yudh men hui
Badluram ka badan
Zameen ka neeche hain par
Humein uska ration milta
Shabaash hallelujah
Par humein uska ration milta hain
Daastan – e – hangpan dada ki,
Bachpan se shararati, janmein
Chhote gaon mein arunachal
Satanvey chayanit sena mein
Havildar pohonche kashmir
Intelligence mili ki ghuspaithiye
Aatankvadi, chhetra naugam mein
Maar giraane ki saugandh le
Feet tera hazaar uchai
Nikal pade chadhne mein maahir
Pahaad, goliyon ki bauchhaar ke beech
Dushmanon ka bhaagne ka rasta seal
Pohonchne mein nazdeek mili kamayabi
Muthbhed chali kuch der aisi
Aakhri ghadi tak ko teen ko maar giraya
Khoon se lath path hangpan dada ki jaan ja chuki thi
Balidan pe unke fakra humein
Parivaar ki aankhen namm hui thi
Tasveer-e-veerta ko pramanit
Ashoka chakra se woh sammanit
Shat-shat naman amar sapoot ko
Jinke bachhe gaayein geet joh
Badluram ka badan
Zameen ka neeche hain toh
Humein uska ration milta
Shabaash hallelujah
Par humein uska ration milta hai