[Lyrics for Gandhi To Hitler – Har Ore Tabahi Ka Manzar]
Jo chale jeetne duniya ko
kya khabar nahi hai ye unko
Jo chale jeetne duniya ko
kya khabar nahi hai ye unko
Jab jang jeet ke aayenge
sab kuch namu paayenge
Kahin sooni sooni basti hai [aaa.]
Kahin sooni sooni basti hai
Kahin ujda ghar ka aangan hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai
Bhedbhaav jo karte hain
Bhagwan se kyun nahi darte hain
Bhedbhaav jo karte hain
Bhagwan se kyun nahi darte hain
Jo Insaan bankar aaya hai
Rang laal lahu ka paya hai
Kahin qatra qatra zakhmi hai
Kahin qatra qatra zakhmi hai
Kahin zarra zarra ghayal hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai
Ant jab yahi hona tha
Toh kis baat ka rona tha
Ant jab yahi hona tha
Toh kis baat ka rona tha
Takht kahaan, kahaan taj gaya
Kal bhi na mila aur aaj gaya
Kahin sapna chaknachoor hua
Taqat ka nasha kafoor hua
Jo Booge so kaatoge
Jo Booge so kaatoge
Dastoor ye ab bhi kaayam hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai
Har ore tabahi ka manzar
Garja vinaash ka badal hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai
Kahin rota maa ka aanchal hai..
Kahin rota maa ka aanchal hai..