[Lyrics for Humsaya 1968 – Dil Ki Awaaz Bhi Sun]
Dil ki awaaz bhi sun
Mere fasaane pe na ja
Meri nazron ki taraf dekh
Zamaane pe na ja
Dil ki awaaz bhi sun
Mere fasaane pe na ja
Meri nazron ki taraf dekh
Zamaane pe na ja
Dil ki awaaz bhi sun
Ik nazar dekh le
Ik nazar dekh le
Jeene ki ijaazat de de
Roothne waale wo pehli si
Muhabbat de de
Ik nazar dekh le
Jeene ki ijaazat de de
Roothne waale wo pehli si
Muhabbat de de
Ishq masoom hai
Ishq maasoom hai
Ilzaam lagaane pe na ja
Meri nazron ki taraf dekh
Zamaane pe na ja
Dil ki aawaaz bhi sun
Waqt insaan pe
Waqt insaan pe
Aisa bhi kabhi aata hai
Raah mein chhod ke
Saaya bhi chala jaata hai
Waqt insaan pe
Aisa bhi kabhi aata hai
Raah mein chhod ke
Saaya bhi chala jaata hai
Din bhi nikalega kabhi
Din bhi nikalega kabhi
Raat ke aane pe na ja
Meri nazro ki taraf dekh
Zamaane pe na ja
Dil ki awaaz bhi sun
Main haqeeqat hoon
Main haqeeqat hoon
Ye ik roz dikhaunga tujhe
Begunahi pe muhabbat ki
Rulaunga tujhe
Main haqeeqat hoon
Ye ik roz dikhaunga tujhe
Begunahi pe muhabbat ki
Rulaunga tujhe
Daag dil ke nahi
Daag dil ke nahi
Mite hain mitaane pe na ja
Meri nazro ki taraf dekh
Zamaane pe na ja
Dil ki aawaaz bhi sun
Mere fasaane pe na ja
Meri nazro ki taraf dekh
Zamaane pe na ja