Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » Jatin Lalit, Alka Yagnik, Shaan, Hum Tum – Ladki Kyoon Lyrics

Jatin Lalit, Alka Yagnik, Shaan, Hum Tum – Ladki Kyoon Lyrics

  • by
Read Time:2 Minute, 8 Second

Ladki kyoon na jaane kyoon ladkon si nahin hoti
Sochti hai zyaada, kam voh samajhti hai – 2
Dil kuch kehta hai, kuch aur hi karti hai
Ladki kyoon na jaane kyoon ladkon si nahin hoti – 2
Sochti hai zyaada, kam voh samajhti hai
Dil kuch kehta hai, kuch aur hi karti hai
Ladki kyoon na jaane kyoon ladkon si nahin hoti – 2
Pyaar use bhi hai magar shuruaat tumhi se chaahe
Khud mein uljhi uljhi hai par baalon ko suljhaaye

I mean you’re all the same yaar
Hum achhe dost hain, par us nazar se tumko dekha nahin
Voh sab to theek hai par us baare mein maine socha nahin

Sab se alag ho tum yeh kehke paas tumhaare aaye
Aur kuch din mein tum mein alag sa
Kuch bhi na usko bhaaye

Uff, yeh kaisi shirt pehente ho
Yeh kaise baal kataate ho
Gaadi tez chalaate ho, tum jaldi mein kyoon khaate ho
Gimme a break!

Tumhe badalne ko paas voh aati hai
Tumhe mitaane ko jaal bichhaati hai
Baaton baaton mein tumhe phasaati hai
Pehle hasaati hai, phir bada rulaati hai
Ladki kyoon na jaane kyoon ladkon si nahin hoti – 2

Ae itna hi khud se khush ho to peechhe kyoon aate ho
Phool kabhi to hazaar tohfe aakhir kyoon laate ho

Apna naam nahin bataaya aapne, coffee peene chalenge?
Main aapko ghar chhod doon, phir kab milenge?

Bikhra bikhra bematlab sa toota phoota jeena
Aur kehte ho alag se hai hum taanke apna seena

Bheega toya kahin farsh pe, toothpaste ka dhakkan kahin
Kal ke moze ulat ke pehne, waqt ka kuch bhi hosh nahin

Jeene ka tumko dhang sikh laati hai
Tumhe jaanwar se insaan banaati hai
Uske bina ek pal reh na sakoge tum
Usko pata hai yeh keh na sakoge tum
Is liye ladkiyaan ladkon si nahin hoti – 2

Jaane kaun kaunse din voh tumko yaad dilaaye
Pyaar ko chaahe bhool bhi jaaye, taarikhein na bhulaaye

1st March ko nazar milaayi, chaar April ko main milne aayi
Ikkis May ko tumne chhua tha, chhe June mujhe kuch hua tha

Ladkon ka kya hai kisi bhi mod pe voh mud jaaye
Abhi kisi ke hain, abhi kisi aur se voh jud jaaye

Tumhaare mummy daddy ghar pe nahin hai
Great, main aa jaaoon?
Tumhaari friend akeli ghar jaa rahi hai
Bechaari, main chhod aaoon? Uff!

Ek haan kehne ko kitna dehlaati hai
Thak jaate hain hum voh jee behlaati hai

Voh sharmaati hai, kabhi chhupaati hai
Ladki jo haan keh de, use nibhaati hai
Is liye ladkiyaan ladkon si nahin hoti – 4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *