Read Time:30 Second
[Lyrics for Javed Ali – Dariyaa]
Dariyaa jo dariyaa tere mere beech hai
Use paar karoon main ya nahi
Jaane kahan le aaya ye dil
Na jaanu kya galat kya sahi
Paagal sa jo ho raha hoon is pal
Karke yaad baatein main teri
Kehte sabhi main bhula doon tujhe
Par dil nahi haarta
Kuch nahi jaanta ye nahi maanta
Bas raahein teri taake din bhar
Dariyaa jo dariyaa tere mere beech hai
Use pyaar kahoon main ya nahin
Jo hum na mile to tu hi bata kya sahi hai
Dariyaa jo dariyaa tere mere beech hai
Use pyaar kahoon main ya nahi