[Lyrics for Lata Mangeshkar – Aji Ruth Kar Ab Kahan Jaiyega]
Nigahon se chhupkar dikhao to jane
Khayalon me bhi tum na aao to jane
Aji lakh pardon mein chhup jaiyega
Aji lakh pardon mein chhup jaiyega
Nazar aiyega nazar aiyega
Aji ruth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega hame paiyega
Aji ruth kar ab
Jo dil me hai hothon pe lana bhi mushkil
Magar usko dil mein chhupana bhi mushkil
Nazar ki zuban se samajh jaiyega
Nazar ki zuban se samajh jaiyega
Samajh kar zara gaur farmaiyega
Aji ruth kar ab kahan jaiyega
Jaha jaiyega hame paiyega
Aji ruth kar ab
Ye kaisa nasha hai ye kaisa asar hai
Na kabu me dil hai na bus me nazar hai
Jara hosh aane ke le jaiyega
Jara hosh aane ke le jaiyega
Thehar jaiyega thehar jaiyega
Aji ruth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega hame paiyega
Aji ruth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega hame paiyega
Aji ruth kar ab.