Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » Lata Mangeshkar – Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyrics

Lata Mangeshkar – Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyrics

  • by
Read Time:51 Second

[Lyrics for Lata Mangeshkar – Ek Pyar Ka Nagma Hai]

Ek pyaar ka nagama hai
Maujon ki rawani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagama hai

Kuch paakar khona hai
Kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to
Aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se
Ik umr churaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagama hai

Tu dhaar hai nadiya ki
Main tera kinara hoon
Tu mera sahara hai
Main tera sahara hoon
Aankhon mein samandar hai
Aashaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagama hai

Toofan ko aana hai
Aa kar chale jaana hai
Baadal hai ye kuch pal ka
Chha kar dhal jaana hai
Parchaiyan reh jaati
Reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagama hai
Maujon ki rawani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagama hai