Laheraati hui raahein, khole hue hain baahein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Palkon pe gehre halke hai reshmi dhundhalke
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan, yeh hum aa gaye hain kahan
Voh dekho zara parbaton pe ghataayein
Hamaari daastaan haule se sunaaye
Suno to zara yeh phoolon ki vaadi
Hamaari hi koi kahaani hai sunaati
Sapnon ke is nagar mein, yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan, yeh hum aa gaye hain kahan
Jo raahon mein hai rut ne sona bikhera
Sunehra hua tera mera savera
Zameen so gayi barf ki chaadaron mein
Bas ek aag si jalti hai do dilon mein
Hawaaein sansanaaye, badan yeh kaanp jaaye
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan, yeh hum aa gaye hain kahan
Yeh barsaat bhi kab thame kaun jaane
Tumhe mil gaye pyaar ke sau bahaane
Sitaaron ki hai jaise baaraat aayi
Hamaare liye raat yun jagmagaayi
Sapne bhi jhilmilaaye
Dil mein diye jalaaye
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan, yeh hum aa gaye hain kahan
Haan, yeh hum aa gaye hain kahan