[Lyrics for Mahendra Kapoor – Beete Huye Lamho]
Kyun ki
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Khwaabon hi mein ho chaahe mulaqat to hogi
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Khwaabon hi mein ho chaahe mulaqat to hogi
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Ye pyaar mein doobi hui rangin fazayein
Ye pyaar mein doobi hui rangin fazayein
Ye chehre ye nazaare ye jawaan rut ye hawaayein
Hum jaayein kahin inki mahak saath to hogi
Hum jaayein kahin inki mahak saath to hogi
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Khwaabon hi mein ho chaahe mulaqat to hogi
Phoolon ki tarah dil mein basaye huye rakhna
Phoolon ki tarah dil mein basaye huye rakhna
Yaadon ke chirago ko jalaaye huye rakhna
Lamba hai safar is mein kahin raat to hogi
Lamba hai safar is mein kahin raat to hogi
Khwaabon hi mein ho chaahe mulaqat to hogi
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Ye saath guzaare hue lamhaat ki daulat
Ye saath guzaare hue lamhaat ki daulat
Jazbaat ki daulat ye khayaalaat ki daulat
Kuch paas na ho paas ye saugaat to hogi
Kuch paas na ho paas ye saugaat to hogi
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Khwaabon hi mein ho chaahe mulaqat to hogi
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi