Aa, ga re ni sa, re ni sa, re ni sa
Ga re ni sa re ni sa ga re pa sa – 2
Ma ma ma pa pa ni pa ga ma re sa, aa
(Pyaare se rang bharta hai, koi jaadu sa yeh karta hai
Har dil mein yeh rehta hai) – 2
Kabhi na kabhi, kahin na kahin, kisi na kisi se
Har dil ko hai ho jaata, pyaar kiya nahin jaata
Pyaar kiya nahin jaata, pyaar kiya nahin jaata
Pyaar kiya nahin jaata
Aankhon hi aankhon mein
Baaton hi baaton mein dil jab kho jaaye
Bechaini badh jaaye, kuch kaha na jaaye
Hota jaaye haai dil deewana, deewana
Dhak dhak karta hai dil hardam aahein bharta hai
Kaise kya kahoon darr sa lagta hai
Madhoshi ka aalam dil pe chhaaya rehta hai
Jaane dil kahan dooba rehta hai
Kaise jataaye
Kaise jataaye dilon ki jazbaat
Pyaare se rang bharta hai
Koi jaadu sa yeh karta hai
Har dil mein yeh rehta hai
Kabhi na kabhi, kahin na kahin, kisi na kisi se
Har dil ko hai ho jaata, pyaar kiya nahin jaata
Pyaar kiya nahin jaata
Meethi si ek chubhan
Jaagi si ek agar saanson ko chhoo jaaye
Tanhaai chhaa jaaye, jaane kya ho jaaye
Chori chori koi dil churaaye, churaaye
Chaahat badhti jaaye, badhta jaaye intezaar
Milne ke liye dil ho beqaraar
Maano ya na maano aisa hota hai yeh pyaar
Thodi beqaraari thoda deta hai qaraar
Jaano na jaano
Jaano na jaano yeh kaise hai ehsaas
Pyaare se rang bharta hai, koi jaadu sa yeh karta hai
Har dil mein yeh rehta hai
Kabhi na kabhi, kahin na kahin, kisi na kisi se
Har dil ko hai ho jaata, pyaar kiya nahin jaata
Pyaar kiya nahin jaata
Pyaar kiya nahin jaata
Pyaar kiya nahin jaata
Pyaar kiya nahin jaata
Pyaar kiya nahin jaata