Read Time:37 Second
[Lyrics for Mohammed Rafi – Chhu Lene Do Nazuk Hoton Ko]
Sharmaa ke na yun hi kho denaa
Ragin javaani ki ghadiyaan
Sharmaa ke na yun hi kho denaa
Ragin javaani ki ghadiyaan
Betaab dhadakate sino kaa
Aramaan bharaa paigaam hai ye
Chhu lene do naazuk hotho ko
Kuchh aur nahi hai jaam hai ye
Chhu lene do naazuk hotho ko
Achchho ko buraa saabit karnaa
Duniyaa ki puraani aadat hai
Achchho ko buraa saabit karnaa
Duniyaa ki puraani aadat hai
Is mai ko mubaarak chiz samajh
Maanaa ki bahut badanaam hai ye
Chhu lene do naazuk hotho ko
Kuchh aur nahi hai jaam hai ye
Qudarat ne jo hamako bakshaa hai
Vo sabase hasi inaam hai ye
Chhu lene do naazuk hotho ko.