Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » Munawar Faruqui – Kaamil Lyrics

Munawar Faruqui – Kaamil Lyrics

  • by
Read Time:1 Minute, 51 Second

[Lyrics for Munawar Faruqui – Kaamil]

Tu ho sake toh aaye kabhi aye kabhi aaye
Abhi aaye meri aankhon mein tu toh thehre sahi
Toh din bann jaye, ho samandar mann
Mera uchlhe magan jaise lehre ho koi

Teri hasrat jo maine ki ishq hua hain pehle bhi
Par din dugna behtar lage aisa hua pehle kabhi, no!
Soh-batt jo pehle thi, I like the way you picture me
Teri hasi zeenat teri tasveeron mein no-filter please

Dua hai, tu reh hifazat sang mere humesha hi
Hua hai, beete relationship mein na khush dono hi
Meri khamoshi kehti kya tu bhi bolein ishaaron mein
Khwaish kalandar ki leti panha teri he aankhon mein

Haan, yaad dilaye tera chehra dikhaye
Mera sab kuch lagta tu hi
Tu ho rahi bechain, dilo mein meri nazam vahi hai
Mera qaafiya radeef bhi tu hi

Tu ho sake toh aaye, bann hawayein chhuke jaaye
Hum yaha hai meri baahon mein tu thehre toh sahi
Yeh mushkilay bhi kya hai muskuraye humnava hai
Mere saaye mere mann mein andhere na koi

Ishq kehte jise falsafe mein humein sab pata hai jaanam
Mera best day hai, teri hasraton mein tujhe kya pta hai jaanam?
Rab thak gaya hai meri arziyan bhi sunke likhe yeh aamad
Tera itrr bhi koi kuch keh mujhe de raha ijaazat

Na-silah mangta duniya se jo kar lun mein tumko haasil
Humnava yahan hai kaafi par tu he lagta hain kaabil
Mein toh kar raha ibaadat tujhko rakhein hifaazat
Tu shamil hai mujhmein aisi aise, karti tu zindagi kaamil!

Teri yaad dilaye tera chehra dikhaye
Aisi likhdu ghazal main koyi
Mai soya ik chain ki neend se
Ab uthna nahi hai mera sapna badale na koi

Tu ho sake toh aaye kabhi aye kabhi aaye
Abhi aaye meri aankhon mein tu toh thehre sahi
Toh din bann jaye, ho samandar mann
Mera uchlhe magan jaise lehre ho koi

Tu karti zid hai, mein din deta hu gin ke
Ye dooriya bi sin hai, yeh intehaan hain phirse
Bismil yeh pal hai, tu hi mera safar hai
Tu kar yakeen mera, teri khushi manzil hai

Haan, yaad dilaye
Mera sab kuch lagta tu hi
Mera qaafiya radeef bhi tu hi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *