Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » Nadeem Shravan, Alka Yagnik, Hema Sardesai, Sabri Brothers, Udit Narayan, Pardes – Nahin Hona Tha Lyrics

Nadeem Shravan, Alka Yagnik, Hema Sardesai, Sabri Brothers, Udit Narayan, Pardes – Nahin Hona Tha Lyrics

  • by
Read Time:2 Minute, 59 Second

Haan, haan

Tu ru ru ru ri ri ra ra
Tu ru ru ru ra

Rab rab rab rab rab rab rab rab
Rab rab rab rab re

Tu ru ru ru ri ri ra ra
Ri ri ra ra ra

Allah mere panna heere
Rab rab rab rab re

Aah, o rabba, o rabba
Yeh mohabbat bhi ek ibaadat hai
Aur yeh ibaadat bhi ek mohabbat hai

Haan ah, haan ah, haan ah

Yeh bhi deewaangi hai, voh bhi deewaangi hai
Yeh bhi dil ki lagi hai, voh bhi dil ki lagi hai
Mujhko kya ho gaya, sab ko hairaangi hai

Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar

Nahin hona tha, arre nahin hona tha

Arre nahin hona tha, nahin hona tha, nahin hona tha
Arre nahin hona tha, arre nahin hona tha

Nahin hona tha, nahin hona tha, lekin ho gaya

Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar
Ho gaya hai mujhe pyaar

Nahin hona tha, arre nahin hona tha

Nahin hona tha, nahin hona tha, lekin ho gaya
Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar

Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar

Sa re sa ga, ma dha dha pa – 2

Tu ru ru ru ri ri ra ra
Tu ru ru ru ra

Ru ru ru ru ri ri ra ra
Ru ru ru ru ra

Tu ru ru ru ri ri ra ra
Ri ri ra ra ra

Is pyaar ke yeh kis mod par voh chal diye mujhko chhodkar
Aage jaa na sakoon, peechhe jaa na sakoon
Gham dikha na sakoon, gham chhupa na sakoon – 2

–MALE 1 & FEMALE 2–

Saamne mere aag ka dariya, doobke jaana paar

Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar

Nahin hona tha, nahin hona tha, lekin ho gaya

Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar

Zamaana dilon ko nahin jaanta hai
Zamaane ko yeh dil nahin maanta hai
Nahin aur koi faqat ishq hai voh
Jo aashiq ki nazron ko pehchaanta hai – 2

Ab waqt faisle ka nazdeek aa gaya hai
Kya faisla karoon main dil ne to yeh kaha hai
Dil ne to yeh kaha hai, dil ne yeh kaha hai
Jeena ka hai shokh to marne ko ho jaa taiyyaar
Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar
Nahin hona tha, nahin hona tha, lekin ho gaya
Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar

Vaapas kar aayi baabul ko main shaadi ka jora
Maine pyaar ko pehen liya re, pyaar ko sar pe odha
Phenk di maine gali mein jhoothi rasmon ki angoothi
Tod diye sab laaj ke pehre, main har qaid se chhooti
Pag pag thokar khaaoon, chalti jaaoon ankhiyaan meeche
Aage mere saajan ka ghar, duniya reh gayi peechhe

Aaiye ek dua maangoon main, bichhda yaar mujhe mil jaaye
Mere peer-o-murshid mera pyaar mujhe mil jaaye

Aa aa aa aa aa, aa aa, aa aa aa
Oh oh oh, aah

Apna laal dupatta maine dil ke khoon se ranga – 2
Yeh sangam ho jaaye saagar se mil jaaye ganga
Saagar se mil jaaye ganga – 3
Nahin hona tha, nahin hona tha – 2
Nahin hona tha, nahin hona tha, lekin ho gaya
Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar
Ho gaya hai mujhe pyaar
Nahin hona tha, nahin hona tha – 2
Nahin hona tha, nahin hona tha, lekin ho gaya
Ho gaya hai mujhe pyaar, ho gaya hai mujhe pyaar
Ho gaya hai mujhe pyaar

Meri mehbooba, meri mehbooba
Meri mehbooba, meri mehbooba, meri mehbooba

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *