Oh oh oh oh oh oh, la la la la la la
Ek raja hai, ek rani hai
Paas paisa hai, aur jawaani hai
Aur kya zindagaani hai
Oh, aur kya zindagaani hai
Sab naseebon ki yeh kahaani hai
Teri chaahat ki sab nishaani hai
Aur kya zindagaani hai – 2
Ghar hai ek mandir, tum mere devtaa ho
Maine rab se maangi, wohi tum duaa ho
Kaun hamein duniya mein itna pyaar dega
Itni khushi aur aisa sansaar dega
Mujhe rehna hai inhi charnon mein
Umr baahon mein yun bitaani hai
Aur kya zindagaani hai
Oh, aur kya zindagaani hai
Aisi apni dosti hai aisa dostaana
Yaad karega humko saara zamaana
Dosti pe bilkul na karna bharosa
Dost banke dete hai log yahan dhoka
Dosti hum na kabhi todenge
Aaj humne yeh dil mein thaani hai
Aur kya zindagaani hai
Oh, aur kya zindagaani hai
Aah aah aah aah, aah aah aah
Aisi gulshan to bahaaron mein khila karti hai
Aise maa baap naseebon se mila karte hai
Maine har roz duaa maangi hai teri khaatir
Mera har khwaab ban gaya hai haqeeqat aakhir
In rishton ko hum nibhaayenge
Apni pooja bhi aazmaani hai
Aur kya zindagaani hai
Ho, aur kya zindagaani hai
Ek raja hai, ek rani hai
Teri chaahat ki sab nishaani hai
Sab naseebon ki yeh kahaani hai
Hai karam uska, meherbaani hai
Aur kya zindagaani hai
Oh, aur kya zindagaani hai – 3