Read Time:36 Second
Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin – 2
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin
Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin – 2
Tu mil saka na humko, tasalli to mil gayi – 2
Aayi bahaar shaakh pe kali bhi khil gayi
Armaan tha humko jiska voh gul khila nahin – 2
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin – 2
Yaadon ki jhilmil aati parchhaiyon ke din – 2
Kat te nahin hai tanha tanhaaiyon ke din
Hai chaahaton ka dilkash, ab silsila nahin – 2
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin
Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin – 2
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin – 2