[Lyrics for Panther – Vande Matram]
Sanatano ki dharti thi
Jain aur buddhon ki janani bhi
Chanakya neeti ki janam bhoomi
Nalanda mein vidya bat’ti thi
Buddha thhe aur mahaveer bhi
Chandragupta ka ateet bhi
Sainkdon mein yahaan pallavon ne
Mandiro ki bhari kayi neev bhi
Ashoka jaise yahaan veer bhi
Khooni kalinga mein cheet thi
Senani porus ne sikander ki mitti paleet ki
Gupton ka swarna yug, tha mahaan
Satavahana se shunga kushan
Pallava nanda aur mauryan
Tambapanni pandyan panchal
Rajputana thhaat baathh
Shankaracharya gaye gyaan baant
Rahe prithviraj si aan baan
Haar ke nahi raha haar maan
Chaud itihaas pe
Loota ghori taimur ne bhar ke
Phir bhi na hili taang yeh
Abdul gaffar peer ali khan
Hum vanshaj khudiram ke
Gangadhar tilak, bhagat singh ji
Hum chele bipin pal ke
Hai garv humein issi baat pe
Vande mataram, vande mataram
Vande mataram, vande mataram
Humein garv hai ki yahan dharm hai
Hamara karm hai joh yahaan janam se
Tiranga dil mein bada fakr hai
Joh kayi parv hai toh kayi lafz hai
Atithi devo mera farz
Dushmani ho toh buddhi yeh garam hai
Sahityakaaron ki kalam
Kisanon ne mitti kardi swarn hai
Maithili aur punjabi,
Marathi, pahadi gujarati,
Kashmiri se bengali,
Mallu, daju sang madrasi,
Atal ki maati sachin ki maati,
Mary saina lata ki maati
Yeh hain rehman ki maati
Shahrukh amitabh ki maati
Maati us har guru ki joh vidya deke banata kabil
Maati us neta ki joh ladta rehta haq ki khaatir
Maati us baap ki joh karwata bete fauj mein shaamil
Maati us maa ki beta na jiska beta aaya ladd-ke ho wapis
Maati uss fauji ki joh chhaati par khaata hai goli
Maati uski sun’na paaya bete beti ki boli
Maati us foji ki jo ghar manaye na lohdi holi
Maati uski jiski lipti tirange mein aakhiri doli
Yeh desh mera balidanon ka
Yeh desh hain veer jawanon ka
Desh hai hindu aur sardaron ka
Yeh desh hai musalmaanon ka
Desh hai girjaghar aur azaanon ka
Yeh desh mera bhagwanon ka
Desh hai albelo mastanon ka
Yeh desh mera insanon ka
Yeh desh mera insanon ka
Yeh desh mera insanon ka
Yeh desh mera insanon ka
Yeh desh mera insanon ka
Yeh desh mera insanon ka
Jai hind, jai bharat