Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » Paradox – Itni Shakti Lyrics

Paradox – Itni Shakti Lyrics

  • by
Read Time:1 Minute, 50 Second

[Lyrics for Paradox – Itni Shakti]

Mera maksad kisi ko kehna bura nahi
Lekin aap sahi phir manna kyun bura bhai
Abhi toh huye bas kuchh hi kshann hain
Yeh toh shuruwaat gaana hua abhi poora nahi

Jaane kyun aajkal alag hi sanak soojhe
Shakal se lage aaina na pasand tumhe
Kyunki yeh geet sang beat ke likha hain tumpe
Pehle dosh dene walon pe, baaki bache hum dooje

Aaj no limits mujhe khulke sunaane do
Kyun yeh zamana hi dosh deta hain zamaane ko
Kyun yeh log hi kehte ki log kya kahenge
Inhe bolo baton ki batti banao humein jaane do

Mujhe gaane do khuda bhi mera sunega
Sach sunaane do na dar mujhe logon ka
Mili shakti dil karam hi chunega
Log achha bura bolenge pade farak na dono ka

Itni shakti dena mujhe daata tu
Nek rahe irada iss-se maangun zyaada kyun
Roz main sochun aisa kar pata yoon ki
Logon ke rakh gam khud khush gaa sakun

Baatun khushiyan baatun pyaar main
Toh phir kaise kamzor hoga vishwaas yeh
Na jata main bhool sateek yeh asool
Toh phir bhool ke bhi bhool kaise karun iss rastein mein

Vastav mein ab insaniyat pe na bharosa
Dharmon ka jaal yahan jaise sabko hain dabocha
Mujhe toh na palle padti baatein saari
Woh kehte khaa naa kasam par main vrat pe jaise rakha roza

Hota vaad vivaad aajkal bina baat
Marke hona amar na ki bann jeena laash
Mera hiphop hi ram main jaise pawan putra
Jap karun subah shaam dekhlo seena kaat

Ek hi laksh yaad aaun jaane ke baad bhi
Ho sabka bhala khwaaish yeh aakhiri
Mutthi band thi duniya mein aate waqt toh
Ho kaise yakeen lakeeron pe samajh aaye baat nahi

Ho sakta hain joh sach ho duniya ke nazariye se
Woh ho jhoot aur tum ansh ho kisi zariye ke
Yeh duniya kaun chalaye kisi ko nahi maalum kyunki
Jisko tum jaano woh hain patthar jiske ghar sariye ke

Yeh toh baatein thi saari aakhir mein main bhi toh hoon insaan
Jeena bhram mein badhava dena mithya ko bin jaan
Bas yahi kaam mera mera path na hain satya ka
Aham brahmasmi main vishnu main hee shiv main hoon insaan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *