[Lyrics for Qk – Chitthi Qk]
Chitthi chitthee
Hawaaon se joh aayi hai, laayi hai
Ehsaas hain joh aaj bhi
Aazmi, alfaaz hai
Suno, tum kaisi ho?
Kya aaj bhi tum chand dekh ke
Raat ko yoon roti ho
Kya aaj bhi tum shaam dekh diary mein
Shayari pe shayari ke daayre piroti ho
Aaika! Mi chhaan
Tum kaise ho sangaal
Na main na roti
Kyunki bheja inn hawaaon ko hai tumne
Punchhne mere yeh geele gaalon ko
Toh yaad jugnuon ki tarah
Jal rahi hain seene mein bas
Sharam se hoon laal
Besharm hai yeh kaagaz
Mehar khat padh bai woh muskurandi holi
Sharam se aayi uske gaalon pe bhi laali hogi
Maine likha hai uske liye kuch haseen sunke
Ek ungli daanton ke beech sune dabaa li hogi
Kya tu bhi honthon se lagata mere khat?
Behad bebas kya tu jaise mere lafz
Bekhauf yeh nazm let jaate mere panno par
Yaad kar ke jab thi teri saansein baithi labon par
Chitthi chitthi
Hawaaon se joh aayi hai, laayi hai
Kayi baatein joh thi raaz si
Laazmi, ehsaas hai oh ho
Chitthi chitthee
Hawaaon se joh aayi hai, laayi hai
Ehsaas hain joh aaj bhi
Aazmi, alfaaz hai
Bolne ke liye kaafi saari baatein reh gayi
Tu joh chali gayi toh bas teri yaadein reh gayi
Inn pahadon mein khoobsurati rahi kahan
Jitni bhi thi woh saari, teri aankhein le gayi
Sitaare kehte ke tu chaand se
Na baatein kar humdard ki
Ke dard mein hi chhip woh jaaye
Baadalon ki chaadaron mein
Tera mera pyaar hain na maan ne ko yeh zameen
Aa yaqeen dila isey ya bas miloge kaagazon mein
Tu aake pooch mere saathiyon se, vaadiyon se
Daakiye se ishq ka pata hain mera haan
Ki chitthee aane tak main raat choomta hoon
Tujhko hi main dhoonta hoon,
Jab subah lage gale se mere
Tu koi aayat , kimaayat, bidaayat
Hinaayat, inaayat, ya aadat joh chhoote nahi
Ishq gaayat, rivaayat, saraayat, hidaayat
Hikaayat, nihaayat na kam ho kahin
Oh ho ho
Chitthi chitthi
Hawaaon se joh aayi hai, laayi hai
Kayi baatein joh thi raaz si
Laazmi, ehsaas hai oh ho
Chitthi chitthee
Hawaaon se joh aayi hai, laayi hai
Ehsaas hain joh aaj bhi
Aazmi, alfaaz hai
Ummeed karta hoon ki tumhe
Mere alfaaz pasand aaye honge
Ummeed karti hoon ki tumhe
Mere ehsaas samajh aaye honge
Toh chalo iss khat ko yahi khatam karte hain
Tumhe agla khat bhi toh likhna hai !