Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garajkar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garajkar baras gaye
Par uski ek jhalak ko hum
Ae husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat yeh dukhda rehta hai
(Mere saamnewaali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai) – 2
Afsos yeh hai ke voh humse
Kuch ukhda ukhda rehta hai
Mere saamnewaali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Jis roz se dekha hai usko
Hum shamma jalaana bhool gaye
Ho, jis roz se dekha hai usko
Hum shamma jalaana bhool gaye
Dil thaamke aise baithe hain
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath paher in aankhon mein
Voh chanchal mukhda rehta hai
(Mere saamnewaali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai) – 2
Afsos yeh hai ke voh humse
Kuch ukhda ukhda rehta hai
Mere saamnewaali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Read Time:45 Second