(Main sochoon yeh kaise
Tum na milte to kya hota) – 2
Main sochoon yeh kaise
Tum na milti to kya hota
Jo sukoon mere dil ko mila hai
Kya tum bin mila hota
Shaayad
Shaayad
Haan, shaayad
Shaayad, shaayad, haan shaayad
Chaahat yunhi badhti rahe
Reh na paaoongi tere bina kasam se
Haai, dekha na koi bhi duja tum sa
Ab jaane na doongi tumhe door hum se
Lagta hai jaise bandha ho yeh bandhan
Jannat mein kahin
Kayi janmon ka hai yeh bandhan
Kahin aisa aisa to nahin
Shaayad
Shaayad
Haan, shaayad
Shaayad, shaayad, haan shaayad
Main jaanta hoon ke tum jaanti ho
Tum jaanti ho ke main jaanta hoon
Eh, main jaanta hoon ke tum jaanti ho
Tum jaanti ho ke main jaanta hoon
Hum jaante hain ke duniya agar jaan legi to
Toofaan uthega, khuda na kare kahin aisa ho
Magar jaane kab jaan leva judaai yeh hogi khatam
Kya hai aisa bhi mumkin
Ke deewaar yeh tod paayenge hum
Shaayad
Shaayad
Haan, shaayad
Shaayad, shaayad, haan shaayad
Nahin mujhko khabar kya galat kya sahi
Kyoon main aaj khud apne bas mein nahin
Chaahat to hai zaroor
Mera dil keh raha hai
Aisi baaton se rehna hai door
Zameer samjha raha hai
Haan aur na ki is uljhan mein
Phas gaya dil bechaara yunhi
Yeh kya ho gaya, aisa kyoon ho gaya
Kahin aisa to nahin
Shaayad, shaayad, haan shaayad – 2
La la, la la, la la la