Le jaayenge, le jaayenge, dilwaale dulhaniya le jaayenge – 2
O le jaayenge, le jaayenge, dilwaale dulhaniya le jaayenge
Arre reh jaayenge, reh jaayenge, paise waale dekhte reh jaayenge
Aji reh jaayenge, reh jaayenge, paise waale dekhte reh jaayenge
Le jaayenge, le jaayenge, dilwaale dulhaniya le jaayenge
Tum ho kali to gulaab hum hain
O gulaab hum hain
O, honton se laga lo to sharaab hum hain
Ae sharaab hum hain
Kehte hain log ke kharaab hum hain
Teri har baat ka jawaab hum hain
Laajawaab hum hain
O ho ho ho, apne do haathon se kamaaya hua khaanewaala
Haq na paraaya kabhi khaayenge, sasur ji
Le jaayenge, le jaayenge, teri son machariya
Le jaayenge
Le jaayenge, le jaayenge, dilwaale dulhaniya le jaayenge
Main bhi tere saath hoon, dil bhi tere saath
Sajna, dil bhi tere saath
O, chaahe jab aaja channa leke baaraat
Chheti chheti aaja channa leke baaraat – 2
O, mere paas kothi hai na car sajni
Na car sajni
Kadka hai tera dildaar sajni
O dildaar sajni
Kothi bangla na mujhe car chaahiye
Dil chaahiye, dildaar chaahiye
O dildaar chaahiye
O ho ho ho, chal phir chaliye soniye ni baliye
Dil ki hi duniya basaayenge, o bulbulle!
Le jaayenge, le jaayenge, tere baag ke bulbul
Le jaayenge
Le jaayenge, le jaayenge, dilwaale dulhaniya le jaayenge
Dar pe khade hain kalyaan kar do
Kalyaan kar do
O, kaam koi ek to mahaan kar do
O mahaan kar do
Kharcha dahez ka bhi bach jaayega
Lage haathon kanya ka daan kar do
Kanya daan kar do
Ho ho ho ho, kabhi kabhi tere ghar teerath samajhkar
Darshan ko hum aayenge
Sasur ji
Le jaayenge, le jaayenge, baaqi kiraniya
Le jaayenge
Le jaayenge, le jaayenge, dilwaale dulhaniya le jaayenge
Aji reh jaayenge, reh jaayenge, paise waale dekhte reh jaayenge
Le jaayenge, le jaayenge, dilwaale dulhaniya le jaayenge