(Shukriya, shukriya, shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the, sab ko jagaa diya) – 2
(Jaage sapne, jaage armaan, jaagi hai dhadkan
Kaisi duniya, kya zamaana, tod har bandhan) – 2
Shukriya, shukriya, shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the, sab ko jagaa diya
(Kya kahoon, kya maine tumse milke paaya hai
Tum jo aaye, zindagi mein rang aaya hai) – 2
Aao tumko le chaloon main dil ki raahon mein
Aaj humko manzilon ne khud bulaaya hai
Shukriya, shukriya, shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the, sab ko jagaa diya
Barkha badal, choli aanchal, phool aur khushboo
Hum bhi yunhi saath mein hai, jaanle yeh tu
Shukriya, shukriya, shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the, sab ko jagaa diya
Mere dil ka haal kya hai, kya kahoon tumse
Pyaar itna paake mere hosh hai goom se
Zindagi bhar pyaar mera kam nahin hoga
Maanglo tum jaan bhi to gham nahin hoga
Shukriya, shukriya, shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the, sab ko jagaa diya
Dharti ambar, dariya saagar, geet aur sargam
Mauj saahil, rastaa manzil, saath hai yun hum
(Shukriya, shukriya, shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the, sab ko jagaa diya) – 2