(Jab kisi ko kisi se mohabbat hoti hai
Yeh naa poochho sanam kaisi haalat hoti hai) – 2
Naa subhaa ka pataa, naa khabar shyaam ki
Kya kisi se kahe, jaane jaan
Kaisa yeh pyaar hai, yeh kaisa pyaar hai
Jab kisi ko kisi se mohabbat hoti hai
Yeh naa poochho sanam kaisi haalat hoti hai
Naa subhaa ka pataa, naa khabar shyaam ki
Kya kisi se kahe, jaane jaan
Kaisa yeh pyaar hai, yeh kaisa pyaar hai
Jisne kiya hai, usko pataa
Kaisa nashaa hai is dard ka
Naa rok raahe, jaane vafaa
Karne de mujhko tu yeh khataa
Ab to mitaa faslaa
Har ghadi bekhudi, har ghadi bebasi
Kyoon sataane lagi dooriyan
Kaisa yeh pyaar hai, yeh kaisa pyaar hai
Jab kisi ko kisi se mohabbat hoti hai
Yeh naa poochho sanam kaisi haalat hoti hai
Chehraa yeh mere sanam
Meri nazar mein chhane lagaa
Kaise sambhaaloon isko bhalaa
Seene se yeh dil jaane lagaa
Chalta nahin bas mera
Naa tujhe chain hai, naa mujhe hosh hai
Dhadkanein ban gayi hai zubaan
Kaisa yeh pyaar hai, yeh kaisa pyaar hai
Jab kisi ko kisi se mohabbat hoti hai
Yeh naa poochho sanam kaisi haalat hoti hai
Naa subhaa ka pataa, naa khabar shyaam ki
Kya kisi se kahe, jaane jaan
Kaisa yeh pyaar hai
Oh, hey
Yeh kaisa pyaar hai
Kaisa yeh pyaar hai, yeh kaisa pyaar hai