(Ho, yeh mann mera bada hi chhaliya
Maaf karo Brijbasiya, maaf karo Brijbasiya) – 2
Radhaji ke mann mein base hum
Mann mein base hum, haan dhan mein base hum
Aisa karo kuch rasiya, maaf karo Brijbasiya
Hey, Radha bhi yahin, Meera bhi yahin
Inhe chhodke tu jaana na kahin
Radha bhi yahin, Meera bhi yahin
Inhe chhodke tu jaana na kahin
Maaf karo Brijbasiya, maaf karo Brijbasiya
Kitni mohni moorat teri
Dekhoon har ghadi bas tujhko
Kitni sohni hoye soorat teri
Bhaaye ab yahi bas mujhko
Tere is dar pe hai aaye sawaali
Bharosa hamein hai na jaayenge khaali
Daya ab karo
Yeh jholi to bharo
Tumhaara
Sahaara
Bhanwar mein
Kinaara
Ho, sab kehte tum antaryaami
Badh lo jiya ki batiyaan, aisa karo kuch rasiya
Hey, Radha bhi yahin, Meera bhi yahin
Inhe chhodke tu jaana na kahin
Radha bhi yahin, Meera bhi yahin
Inhe chhodke tu jaana na kahin
Radha, Radha tere pyaar mein main ho gaya hoon aadha
Hum apni aankhon mein tera hi roop basaaye re
Mudke dekh hamein khade hain tere daaye baaye re
Hum dil ke rogi re
Hum dil ke rogi re
Koi na jaane hum deewaane prem ke jogi re
Na yeh ghar chhodke jaayenge na jaayenge
Na jaayenge na jaayenge
Na yeh ghar chhodke jaayenge
Kaate kate na ab to akele
Birha ki sooni ratiyaan
Kuch to karo Brijbasiya
Radha bhi yahin, Meera bhi yahin
Inhe chhodke jaana na kahin
Radha bhi yahin, Meera bhi yahin
Inhe chhodke tu jaana na kahin
Ho, yeh mann mera bada hi chhaliya
Maaf karo Brijbasiya, maaf karo Brijbasiya – 2