(Chupke se sun iss pal ki dhun
Iss pal mein jeevan saara
Sapnon ki hai duniya yahi
Meri aankhon se dekho zara) – 2
Ujli zameen, neela gagan
Paani pe behtaa shikaara
Sapnon ki hai duniya yahi
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun iss pal ki dhun
Ashaa ke parr lage, panchhi banke main oodi
Jinki thi aarzoo, un raahon se main joodi
Kuch paagayi, kuch khogaya, jaane mujhe kya hogaya
Jaagi jaagi, soyi soyi, rehti hoon khoyi khoyi
Meri beqaraari koi jaane naa, jaane naa
Ruth hai deewani badi, chhede mujhe ghadi ghadi
Aise mein anari dil maane naa, maane naa
Sapnon ki hai duniya yahi
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun iss pal ki dhun
Mausam ka hogaya jaane kaisa yeh asar
Chehre se ab tere hadti nahin meri nazar
Koi kahin naa paas hai, bas pyaar ka ehsaas hai
Khushboo ka jhonka aaye, hamein mahekake jaaye
Humko na kuch bhi khabar hai, khabar hai
Door shehnaayi baji, yaadon ki dulhan saji
Seene pe tumhaare mera sar hai, sar hai
Sapnon ki hai duniya yahi
Meri aankhon se dekho zara
Chupke se sun iss pal ki dhun
Iss pal mein jeevan saara
Sapnon ki hai duniya yahi
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun iss pal ki dhun
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun iss pal ki dhun