(Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai
Haan yehi sapna hai tera, tune pehchaana hai) – 2
Tujhe ab yeh dikhaana hai
Roke tujhko aandhiyaan ya zameen aur aasmaan
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya to har haal mein paana hai
Mushkil koi aa jaaye to, parbat koi takraaye to
Taaqat koi dikhlaaye to, toofaan koi mandlaaye to
Mushkil koi aa jaaye to, parbat koi takraaye to
(Barse chaahe ambar se aag
Lipte chaahe pairon se naag) – 2
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya to har haal mein paana hai
Himmat se jo koi chale, dharti hile kadmon tale
Kya dooriyaan kya faasle, manzil lage aake gale
Himmat se jo koi chale, dharti hile kadmon tale
(Tu chal yunhi ab subh-o-shaam
Rukna jhukna nahin tera kaam) – 2
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya to har haal mein paana hai
Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai
Haan yehi sapna hai tera, tune pehchaana hai
Tujhe ab yeh dikhaana hai
Read Time:49 Second