(Mere man ki ganga, aur tere man ki jamuna ka
Bol Radha bol, sangam hoga ke nahin) – 2
Arre bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Nahin, kabhi nahin
Kitni sadiyaan beet gayi hain
Haai tujhe samjhaane mein
Mere jaisa dheerajwaala
Hai koi aur zamaane mein
Dil ka badhta bojh kabhi kam hoga ke nahin
Bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Mere man ki ganga, aur tere man ki jamuna ka
Bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Arre bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Ha ha ha, jaa jaa
Do nadiyon ka mel agar
Itna paawan kehlaata hai
Kyoon na jahan do dil milte hain
Swarg vahan bas jaata hai
Har mausam hai pyaar ka mausam hoga ke nahin
Bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Mere man ki ganga, aur tere man ki jamuna ka
Bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Arre bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Nahin, nahin, nahin
Teri khaatir main tadpa yun
Tarse dharti saawan ko
Radha Radha ek ratan hai
Saans ki aawan jaawan ko
Patthar pighle dil tera nam hoga ke nahin
Bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Mere man ki ganga, aur tere man ki jamuna ka
Bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Arre bol Radha bol, sangam hoga ke nahin
Jaao na kyoon sataate ho, hoga hoga hoga