Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » Shreya Ghoshal – Angaaron Lyrics

Shreya Ghoshal – Angaaron Lyrics

  • by
Read Time:57 Second

[Lyrics for Shreya Ghoshal – Angaaron]

Ho kadvi hai boli dil hai rangoli
Isame patthar kyon log dekhte hai
Mujhko to dikhta hai isme koi sanam

Angaaron ka ambar sa lagta hai mera saami
Meri raahon mein phoolon ka raasta hai mera saami

Ho aag dekhi taab dekhi iski aankhon mein sabne
Aab dekha khwaab iski aankhon mein humne
Iske moochhon mein bala ke dekhe hai shaan sabne
Par inhi moochhon ke pichhe dekhi muskaan humne

Sheron ki agar raftaar ho iski
Rahti hai uspe sabki nazar
So jaaye jab sar god mein rakh kar
Iski thakan to shrivalli ko ho khabar

Angaaron ka ambar sa lagta hai mera saami
Meri raahon mein phoolon ka raasta hai mera saami

Ho mahange mahange baantein tohfe
Ye hai iske nawabi
Mujhse dar dar ke ye maange ek jhappi gulaabi

Masala kitna bhi ho mushkil
Chutkiyon mein kare hal
Kurta iska na mile to maange mujhse ye paagal

Ghar se alag baahar ki duniya
Jhukti rahe iske aage
Par jab jab ghar se nikle
Maathe pe tilak mujhse aake maange

Angaaron ke ambar sa lagta hai mera saami
Aisa ghar wala mil jaaye to gharwali maharani